Aye watan ke sajeeley jarnailo!!!
Disclaimer: The poem is about the Generals not the Jawaans of Pakistan Armed forces, who have sacrificed their lives fighting in the war games inflicted upon them by the Generals pursuing hyper-extension of their strategic influence, causing millions of people to die and suffer the worst. LUBP always appreciated and paid tribute to the officers like General Faisal Alvi, Brig. Moeenuddin, Colonel Tahir Iqbal, Brigadier Anwar ul Haq Ramday and thousands of other brave soldiers who have been killed by the Monsters aka Taliban (Editor’s Note)
Ae watan ke sajeeley jarnailo
sarey qabzey tumharey liye hain.
Khudfaroshi Hai Eemaan Tumhara
Zillatoun K Sazawar Ho Tum
Kar Na Pain Hifazzat Sarhadon Ki
Woh Zaminbos Deewar Ho Tum
Ae Khujalat K Zinda Nishano!
Sarey Thekey Tumharey Liye Hain
Beewaon, Maaon, Behnon Ki Nazrein
Tum Ko Sochein To Bhar Ayen Jaisey
Beybasi Ki Nigahon Se Jesey
De Rahee Hon Tumhein Badd Duain
Ghaltion Pe Jarrri Paasbano
Sarey Sadmey hamarey Liye Hain
Tum Pe Jo Kuch Likha Shairoon Ne
Un Se Hat Kar hei Awaz Meri
Rondtey Jao Gey Khalq ko jab Tak
Badti Jaye Gi Faryaad Meri
Chand Sitaron K Ae Paristaro
Sarey Nohey hamarey Liye Hain
Inkey Booton Taley bey zubano!
Merey Naghmey Tumhaaaarey Liye Hain
~Danial Lakhnavi
Sharam Nahin Aati? Allah Kay MujahidoN Kay Khilaf Likhtay HO?
Zalim cake aur Pastrion ko nah chorna.. kafir hain sari.. Attack mujhadioo – second Mess war of the day
yeh jernailon ko kabhi sharam nahi aaye gee. Inko to 71 kay baad bhi nahi aayee tou ab kia aaye gee! Namurad baighairat kahin kay. inhon nai hamesha pakistan aur uske elected hakumat hee ko fatah kia hai.